To sign my guestbook, you need to signin first. | |
Nazami89 Guestbookikaajazshaam (12 years ago) Aj mra janam din tha Men intizar krta raha Din se rat ho gyi R men chalta raha Barish mre badan ko bhigoti rahi R tan andar hi andar jalta raha Magar men chalta raha Intizar karta raha K shayed Kahin se koi jaani pehchani c awaz Mujhe pyar se bula kr kahe Janam din mubarak ho Magr aj to hr taraf bala ka sanata he Puri basti ne mre janam k soug men Apne apne gharon men chiragha’n nahin kya Hr taraf holnak andhera tha Is andhere men Barish ka shor Pato’n ki khar’kharahat Hawa ki siskiyan R bijli ki chamak ne Mahol ajeeb daraawna sa bana diya tha Mera dil ghabra gya Subah ka bhoola tha is lia Shaam ko ghar aa gya Kya dekhta hoon ke ghar ki dehleez pr hamesha ki tarah Woh chiraag liye meri muntzir thi Us ne aa kr mujhe sahara diya Phir apne naazuk bazu’on men samait kr Mujhe mere bistar tak le gayi Mera sar apni gaud mein rakh kar Mere baalon mein ungliyan pher kr mujhe sulaney lagi Phir dheere dheere mere kaan mein gunguney lagi Janam din mubarak ho Janam din mubarak ho MERI MEHBOOBA MERI HAMDAM MERI TANHAAI Rohit9959 (12 years ago) Tere Her Dukh Ko Apna Bana Lu, Tere Har Ghum Ko Dil Se Laga Lu, Mujhe Karni Aati Nahi Chori Warna, Mai tere Aankho Se Har Aansu Chura Lu… ikaajazshaam (12 years ago) Faqat itna kaha tha na?.. Mujhe kuch Roshni de do Bina Jurm-o-Khata,Khud ko koi aisi Saza Dena Boht Mushkil he Meri Janaa!! Tumhein bilkul Bhula Dena Mere Maula! agar Tuu ne dubara Zindagi Bakhsi To bus itni Guzarish he, Mujhe Patthar bana dena Main Zehni tor per Khud ko zara Tayyar kar loon ga Bichar jane se kuch pehley mere hamdam bata dena Meri yeh Shararat aaj tak naqsh ho gi Dharkan per Dabe paoown chale ana,Tera Jhumka hila dena Faqat itna kaha tha na?.. Mujhe kuch Roshni de do Tumhein kis ne yeh Bola tha, Meri Basti jala dena Jise Barish k paani main baha ker Muskhurate ho Mujhe Kagaz ki wo Kishti zara phir se bana dena Umar bhar phir Tumhara Rasta takne se acha he K Tum jane se kuch pehley Meri Aankhen bhuja dena. ikaajazshaam (12 years ago) Mujhy Aazad Kr Do Na K Men Ho0n Qaid BarsOn Se Judaai Ki Azziyat Men, Zehar Bhar De Gi Yeh Duniya Meri Naazuk Tabiyyat Men Na Do Ab Hosla Mujh Ko, Bata Do Raasta Mujh Ko, Koi Bahir Nikalnay Ka Hawa Mein Phir Se Urrnay Ka Mujhay us des Jana He, Jahan Panchhi Utartay Hain Jahan Mousam Badaltay Hain, Meri Banjar Si Aankhon Mein Meri Be'taab Saanson Mein Koi To Rang Bhar Do Na Mujhay Aazad Kar Do Na, Mujhay Aazad Kar Do Na..:'( ikaajazshaam (12 years ago) Tum apne ranj-o-gham,apni pareshaani mujhe de do Tumhe gham ki kasam hai dil ki veerani mujhe de do Ye mana main kisi qaabil nahi hoon, in nigahon main achanak le k dill ghairo'n se hairani mujhe de do Main dekhoo to sahi duniya tumhe kaise satati hai, Kabhi dil ke liye apni nigehbaani mujhe dedo ikaajazshaam (12 years ago) یہ دشتِ ہجر، یہ وحشت، یہ شام کےسائے خدا یہ وقت تری آنکھ کونہ دِکھلائے اُسی کےنام سےلفظوں میںچاند اُترےہیں وہ ایک شخص کہ دیکھوں توآنکھ بھرآئے جو کھوچکے ہیںاُنہیںڈھونڈناتو ممکن ہے جو جا چکےہیں اُنہیںکوئی کس طرح لائے! کلی سےمیں نے گلِتر جسےبنایا تھا رُتیںبدلتی ہیںکیسے،مجھے ہی سمجھائے جو بےچراغ گھروں کوچراغ دیتاہے اُسے کہوکہ مِرےشہر کی طرف آئے یہ اضطرابِ مسلسل عذاب ہےامجد مِرا نہیںتو کسی اور ہی کاہو جائے! ikaajazshaam (12 years ago) AGAR HUM DOST HOTE TO KARAM KI INTAHA KARTE TUMHE PALKO PE RAKHTE HUM TUMHE DIL ME BASATE HUM AGAR TUM ROTH JATE TO TUMHE KITNA MANATE HUM AGAR MILNE TUM NAHI AATE TO AA KAR KHUD TUMHE MILTE TUMHARI LAGZISHO KO BHI HANSI ME HUM URA DETE AGAR APNI HATA HOTI TO KHUD KO BHI SAZA DETE MAGAR YE SABH JABHI HOTA AGAR HUM DOST HOTE TO............ MAGAR ITNA HI JANA HAI K TUMNE AAJ TAK HUM KO PARAYA KEH KAR JANA HAI KABHI HUM DUM NA MANA HAI AGAR HUM DOST HOTE TO ikaajazshaam (12 years ago) Suna hai log usay aankh bhar ke dekhte hain So us ke shahar main kuchh din thehr ke dekhte hain Suna hai rabt hai us ko kharab halon se So apne aap ko barbad kar ke dekhte hain Suna hai dard ki gahak hain chashm-e nazuk us ki So ham bhi us ki gali se guzar ke dekhte hain Suna hai us ko bhi hai sher-o shayari se shagaf So ham bhi mojazay apnay hunar ke dekhte hain Suna hai bole to baton se phool jharrtay hain Ye baat hai to chalo baat kar ke dekhte hain Suna hai raat use chand takta rehta hai Sitaray baam-e falak se utar kar dekhtay hain Suna hai hashr hain us ki ghazaal si aankhain Suna hai us ko hiran dasht bhar ke dekhte hain Suna hai din ko usay titliyan satati hain Suna hai raat ko jugno thahar ke dekhte hain Suna hai rat se barh kar hain kakulan us ki Suna hai sham ko saye guzar ke dekhte hain Suna hai us ki siyah chashmagi qiyamat hai So us ko surma farosh aankh bhar ke dekhte hain Suna hai us ke labon se gulab jalate hain So ham bahar par ilzaam dhar ke dekhte hain Suna hai aaina tamasal hai jabin us ka Jo sada dill hain ban sanvar ke dekhte hain Suna hai jab se hamail hain us ki gardan main Mizaj aur hi lal-o gauhar ke dekhte hain Suna hai chashm-e tasavur se dasht-e imkan main Palang zawaiya us ki kamar ke dekhte hain Suna hai us ke badan ke tarash aisay hain Ke phuul apani qabayain qatar ke dekhte hain Woh sarvqad hai magar begul-e muraad nahin Ke us shajar pe shagufay samar ke dekhte hain Bas ek nigah se lutata hai qafila dil ka So rahravaan-e tamannaa bhi dar ke dekhte hain Suna hai us ke shabistan se mutasil hai behisht Makin udhar ke bhi jalway idhar ke dekhte hain Rukay tu gardishain us ka tawaf karti hain Chalay to us ko zamanay theher ke dekhte hain Kisay naseeb ke be parahan usay dekhay Kabhi kabhi dar-o divaar ghar ke dekhte hain Kahaniyan hi sahi sab mubalaghay hi sahi Agar woh khawb hai tabeer kar ke dekhte hain Ab us ke sheher main thehrain ke kooch kar jayan Faraz aao sitaray safar ke dekhte hain Rohit9959 (12 years ago) Log kehte hain ki achche log mar k sitare ban jaate hain, magar hum kehte hain k achche sitare gir k aap jaise dost ban jaate hain. Gud Morning | |