To sign my guestbook, you need to signin first. | |
Nazami89 Guestbookikaajazshaam (11 years ago) Kese Bataown Men Tumhe Mere Liye Tum Kown Ho, Kese Bataown Kese Bataown Men Tumhe Tum Dharkano Ka Geet Ho Jeevan Ka Tum Sangeet Ho Tum Zindagi Tum Bandagi Tum Roshni Tum Taazgi Tum Har Khushi Tum Pyaar Ho Tum Preet Ho Manmeet Ho Aankhon Mein Tum Yaadon Men Tum Saanson Men Tum Aahon Men Tum Neendon Men Tum Khawabon Men Tum Tum Ho Meri Har Baat Men Tum Ho Mere Din Raat Men Tum Subaah Men Tum Shaam Men Tum Soch Men Tum Kaam Men Mere Liye Paana B Tum Mere Liye Khona B Tum Mere Liye Hasna B Tum Mere Liye Rona B Tum Aur Jaagna Sona B Tum Kese Bataown men tumhen Jaown Kahin Dekhoon Kahin Tum Ho wahan, Tum Ho wahin Kese Bataown Men Tumhe Tum Bin To Main Kuch B Nahin Kese Bataown Men Tumhe Mere Liye Tum Kown Ho Yeh Jo Tumhaara Roop He Yeh Zindagi Ki Dhoop He Chandan Se Tarsha He Badan Behti He Jis Men Ek Agan Yeh Shokhiyaan Yeh Mastiyaan Tumko Hawaaon Se Mili Zulfein Ghataaon Se Mili Honton Mein Kaliyaan Khil Gayi Aankhon Ko Jheele Mil Gayi Chehre Men Simti Chaandni Aawaaz Men He Raagini Sheeshe K Jesa Ang He Phoolon K Jesa Rang He Nadiyon K Jesi Chaal He Kya Husn He Kya kamaal He Yeh Jism Ki Rangeeniyaan Jese Hazaaron Titliyaan Baahon Ki Yeh Golaaiyaan Aanchal Men Yeh Parchhaaiyaan Yeh Nagriyaan Hen Khawaab Ki Kese Bataown Men Tumhe Haalat Dil-E-Betaab Ki Kese Bataown Men Tumhe Mere Liye Tum Kown Ho Dharam Ho Mere Liye Imaan Ho Tum Hi Ibaadat Ho Meri Tum Hi To Chaahat Ho Meri Tum Hi Mera Armaan Ho Takta Hoon Men Har Pal Jisse Tum Hi To wo Tasveer Ho Tum Hi Meri Taqdeer Ho Tum Hi Sitaara Ho Mera Tum Hi Nazaara Ho Mera U dhyaan Men Mere Ho Tum Jese Mujhe Ghere Ho Tum Purab Men Tum Pachhim Men Tum Utar Men Tum Dakshin Men Tum Saare Mere Jeevan Men Tum Har Pal Men Tum Har Chir Men Tum Mere Liye Rasta B Tum Mere Liye Manzil B Tum Mere Liye Saagar B Tum Mere Liye Saahil B Tum Men Dekhta Bas Tumko Hoon Men Sochta Bas Tumko Hoon Men Jaanta Bas Tum ko Hoon Men Maanta Bas Tum ko Hoon Tum Hi Meri Pehchaan Ho Kese Bataown Men Tumhe Devii Ho Tum Me ikaajazshaam (11 years ago) Jin Rahon Pe Ik Umar Tere Sath Rahy Hm Kuch Roz Se Wo Rastey Sunsan Bohat Hen Mil Jaow Kabhi Lout K Phir Aaown Na Shayad Kamzor Hoon Men Raah Men Toofan Bohat Hen Ik Tum He Nahi Meri Judai Men Pareshan Bohat Hum B To Teri Chah Men Veeran Boht Hen Ek Tark-E-Wafa Pe Main Tujhe Kese Bhula Doon Mujh Par To Tere Aur B Ehsaan Bohat Hen Bhar Aayen Na Ankhen To Ik Baat Bataoon *SEHR* Ab Tujh Se Bichar Janey K Imkaan Bohat Hen *IK AAJAZ SHAAM* ikaajazshaam (11 years ago) Mere Jaise Ban Jao Gay, Jab Ishq Tumhein Ho Jaye Ga, Diwaron Se Takrao Gay, Jab Ishq Tumhein Ho Jaye Ga, Tanhai K Jhooly Jhoolo Gay, Har Baat Purani Bhoolo Gay, Aainey Se Ghabrao Gay, Jab Ishq Tumhein Ho Jaye Ga, Jab Sooraj Bhi So Jaye Ga, Aur Chand Kahin Kho Jaye Ga, Tum B Ghar Dair Se Aao Gay, Jab Ishq Tumhein Ho Jaye Ga, Bechainiyan Jab Bhar Jayeingi, AurYaad Kissi Ki Aye Gi, Tum Meri Ghazalein Gaow Gay, Jab Ishq Tumhein Ho Jaye Ga……!!!! *IK AAJAZ SHAAM* ikaajazshaam (11 years ago) Apni aankhon mein mere khawab rehne do, Kuch an kahe sawalon k jawaab rahne do, Na milo iss tarah k dharkanen ho jayain be’qabu, Abhi kuch dair zara chehre pe hijaab rehne do, Cheen lo bhale mujhse mere jugno mere khilone, Magar abhi zara mere hathon me kitaaab rehne do, Na karo abyaari in gullo’n ki nafraaton k paani se, Abhi inke dilo’n mein mohabton ka nisaab rehne do, Phir kabhi mile to soche’n ge kya khoya kya paya dost, Abhi nayi manzil he dono ki, purane hisaab rehne do.. *IK AAJAZ SHAAM* ikaajazshaam (11 years ago) Judai dene wale tum se umeed-e-wafa kesi, Taaluq toot jaye jab, Mohabbat rooth jaye jab, To phir rasm-e-dua kesi, …Milan ki ilteja kesi, Bhanwar men dolti kashtii pe saahil ki tamanna kya, Ukhartay saans hoon to zindagi ki arzoo b kya, Ju manzil kho chuki ho uss ki phir se justuju b kyun, Magar dil ne tumhein kis wastay se yaad rakha he, Tumhein kyun shairi men aaj takk aabaad rakha he, Abhi tak man ne kyun khud ko boht barbaad rakha he, Hawa k dosh per kyun nagma-e-faryaad rakha he, Judaii dene wale aashnaii ki qasam tum ko, Tumhari bewafai, kaj-adaai ki qasam tum ko, Mujhe itna bata dena, Wafa ki chahton ki mashalein kese bhujate hen, Nishaan kese mitaate hen, Bhulana ho jinhen unn ko bhala kese bhulatay hen. *IK AAJAZ SHAAM* ikaajazshaam (11 years ago) Main ne dekha tha un dino men ussy jab wo khiltay gulab jesa tha uski palkoon se neend chanti thi us ka lehja sharab jesa tha us ki zulfoon se bheegti thi ghatta us ka rukh mahtaab jesa tha log parhtay thay khal o khad us k wo adab ki kitab jesa tha bolta tha zuban khushbu ki log suntay thay dharkanooon men ussy Main ne dekha tha un dino men ussy sari ankhien thein aaina us ki saray chahroon men intekhab tha wo ye khawab he k wo haqeqat tha ye haqeqat he k koi khawab tha wo sab se ghul mil kr ajnabi rehna ik darya numa sarab tha wo apni neendien usi ki nazr hoein men ne paya tha ratjagoon men ussy Main ne dekha tha un dino men ussy jab wo hans hans k baat karta tha dil ke khyemy men raat karta tha rang parhtay thay aanchaloon men ussy Main ne dekha tha un dino men ussy jb wo khiltey gulab jesa tha *IK AAJAZ SHAAM* ikaajazshaam (11 years ago) Khuda Kare Teri Aankhein Kabhi Aansuon K Zaike Se Aashna Na Hoon, Khuda Kare K Dhoop Lamhon Ki Azyaton Mein, Meri Dowaon Ka Saya Rahe, Tum Jo Zeest Ki Raah Mein Kabhi Akele Nikal Jao To Khuda Kare Tujhe Raaste Na Bhatkein, Khuda Kare Tujhko Manzilein Mil Jayein, Mere Paas Tumhare Liye, Dowaon K Kuch Phool Hen, Khuda Kare Ke Ye Phool Kabhi Na Murjhayein, Mere Paas To Bas Tumhare Liye, Chahaton Ke Jugnu Hen, In Jugnuon Ko Sambhal Kar Rakhna, Mere Paas Mohabbat Ki Titli He, Khuda Kare Ke Ye Titli Tujhe, Khushiyon Ke Gulshan Mein Mehkati Rahe, Tum Zindagi Mein Har Lamha Muskurate Raho, Is Titli Ko Sambhal Kar Rakhna, Zindagi Mein Har Lamha Tum Apna Khayal Rakhna... *IK AAJAZ SHAAM* ikaajazshaam (11 years ago) Jo meri aankhon se khawab dekho to ik b shab na so sako gey k laakh chaho na hans sako gey hazaar chaho na ro sako gey k khawab kya hain azaab hain ye …merey dukhon ki kitaab hain ye rafaqattein inn main chouttein hain mohabbatein inn main roothti hain panapti hain inn main wheshattein si aziyattein inn main phouttein hain inhi k dar se khizaan hain jazbey inhi se shaakhein si tootti hain ghamon ki bandish hain khawab merey ubal raha he dukhon ka laava rehn-e-aatish hain khawab merey khayal saarey jhulas gaye hain sulagti khawish hain khawab merey ukharti saansein hain zindigi ki lahoo ki sazish hain khawab merey jo meri aankhon se khawab dekho to ik b shab na so sako gey *IK AAJAZ SHAAM* ikaajazshaam (11 years ago) Tu hi haqeeqat khawab tu, Dariya tu hi pyaas tu Tu hi dil ki bekaraari tu sukoon tu sukoon jaown main abb jab jis jagah paown main tuj ko uss jagah saath ho k na ho Tu he rubaru rubaru Hamsafar tu hamkadam tu hamnawa mera Aa tujhe inn baahon mein bhar ke Aur bhi kar loon main kareeb Tu juda ho to lage hain aata jaata har pal ajeeb iss jahaan mein hai aur na hoga muj sa koi khush naseeb Tune muj ko dil diya he main hoon tere sab se kareeb main hi to tere dil mein hoon, main hi saanson mein basun tere dil ki dhadkano mein main hi hoon, main hi hoon tu hamsafar tu hamkadam tu hamnawa mera kab bhala abb yeh waqt guzare kuchh pata chalata hi nahi Jab se muj ko tu mila he hosh kuchh b apana nahi Uff yeh teri palakein ghani si, chhaown in ki he dilnasheen kissy darr dhoop ka he kyun k he ye muj pe bichhi tere bina na saans loon tere bina na main jion tere bina na ek pal b reh saku, Tu hi haqeeqat khawab tu, dariya tu hi pyaas tu tu hi dil ki bekaraari tu sakoon tu sakoon tu hamsafar tu hamkadam tu hamnawa mera ikaajazshaam (11 years ago) Mohabbat karke dekho to Mohabbat kya nahi karti Mohabbat khud bhi hoti hai Mohabbat khud ho jaati hai Mohabbat khud banati hai Mohabbat khud bhi banti hai Mohabbat khud bhi andhi hai Mohabbat andha karti hai Mohabbat jhuk bhi sakti hai Mohabbat jhuka bhi deti hai Mohabbat khud bhi nafrat hai Mohabbat Pyaar bhi karti hai Mohabbat Pyaar hai Dil ka Mohabbat aisaar bhi karti hai Mohabbat kaam hai dukh ka Mohabbat naam hai sukh hai Mohabbat naam hai is ka Mohabbat is hi ko kehte hain Mohabbat kar ke dekho to Mohabbat kya nahi karti ik aajaz shaam | |