OwnSkin logo
To sign my guestbook, you need to signin first.
Fire Sales

Nazami89 Guestbook

ikaajazshaam  (11 years ago)
تم جس پہ نظر ڈالو اس دل کا خدا حافظ
قاتل کی خدا جانے، بسمل کا خدا حافظ

آ جاؤ جو محفل میں،ایک جان سی آ جائے ہے
اٹھ جاؤ جو محفل سے ، محفل کا خدا حافظ

ساتھی ہو اگر تم سا،منزل کی تمنا کیا
ہم کو تو سفر پیارا ، منزل کا خدا حافظ

اب ہم بھی تمہارے ہیں،کشتی بھی تمہاری ہے
اب مڑ کے نہ دیکھیں گے ، ساحل کا خدا حافظ

*IK AAJAZ SHAAM*
ikaajazshaam  (11 years ago)
Patti patti
bikher gye hen
gulab sary
jitny b thy

mere jeewan
men thy usi k
azab sary
jitny b thy

jese pat jharh men
sookhy pattey
toot girty hen
shajar se

u zard mousam men
jharh gye
ahbab sary
jitny b thy

dheere dheery
zara zara sa
u meri jaan ko
kha rehi hen

ab teri yaden
le rehi hen
hisaab sary
jitny b thy

ham ne lafzon
men pro kr
aur kitabon men
qaid kr k

baich daly hen
dard sary
khawab sary
jitny b thy

tumhen kho kr
jaam meri
dekho na SHAAM
ho gye hen

tere noor hi k
dam se ham thy
nawaab sary
jitny b thy

a very heart tuching ghazal from
my personel poetry
*IK AAJAZ SHAAM*
ikaajazshaam  (11 years ago)
WO
GYA TO
SATH HI LE GYA
SABHI
RANG UTAAR KR
SHEHR K
MERE SHEHR MEN
IK
SHAKHS THA
KISI
DOOR PAAR K
SHEHR KA

MISS U MY LOVE
VERY MUCH
*IK AAJAZ SHAAM*
ikaajazshaam  (11 years ago)
Ye Mast Mast
Be-Misal Aankhen
Nshay Sy Hr Dam
Nidhal Aankhen

Uthen To Hosh-o-Hawaas
Chheenen
Giren To Kr Den
Kamal Aankhen

Koi He In K
Karam Ka Talib
Kisi Ka Shok-e-Wisal
Aankhen

Na Yun Jlaayen Na
Yun Staayen
Kren To Kuch Ye
Khayal Aankhen

Hen Jeenay Ka ik
Bahana Yaro
Ye Rooh Parwar
Jamal Aankhen

Daraaz Palken
Wisaal Aankhen
Musawari Ka
Kamal Aankhn

Sharab Rab Nay
Haram Kr Di
Mgr Rkhi Q
Halal Aankhn

Hazaron In Se
Qatal huway hen
Khuda K Bnday
Sanmbhal Aankhen..!!


ikaajazshaam  (11 years ago)
Jab ham
chotey thay
tab
barhey hone ki
boht
chahat thi,
Par ab
pata chala k,
Adhoora ehsas
aur
tootay hove
sapno se
achay,
to
Adhoory homework aur
tootay khilony thay.

*IK AAJAZ SHAAM*
ikaajazshaam  (11 years ago)
Mohabbat Rog Hoti He Kaha B Tha,
Rula Kr Khud B Roti He Kaha B Tha,

Kinaare K Kareeb Le Jaa Kar,
Ye Kashti Ko Duboti He Kaha B Tha,

Ise TuM Dilki Dharti Ka Pata Mat Do,
Ye Is Mein Dard Boti He Kaha B Tha,

Mohabbat Men Khushi K Bad GhaM Ki Rutt,
Boht Nazdeek Hoti He Kaha B Tha,

Luta Kr Dil ko, Rone Se B Kya Haasil,
Boht Nayaab Moti He Kaha B Tha,

Azal Se Iski Fitrat He ZaMane Ko,
Jaga Kr Khud Ye Soti He Kaha B Tha,

Ye Sar Se Paaown Tk bs Raakh Kar De gi,
Boht Bedard Hoti He Kaha B Tha...

*IK AAJAZ SHAAM*
ikaajazshaam  (11 years ago)
Hijer mein khoon rulate ho kahan hote ho..?
Lout ker kyoun nahin aate ho kahan hote ho..?

Jab bhi milta hay koi shakhs baharon jaisa..?
Mujh ko tum kese bhulate ho kahan hote ho..?

Yaad ati hain aikele mein TUMHARI neendain
Kis tarah khud ko sulate ho kahan hote ho..?

Mujh se bichre ho tu mehboob e nazer ho kis k
Aaj kall kis ko manate ho kahan hote ho…..?

Shab ki tanhaii mein akser ye khayal ata he
Apne dukh kis ko sunate ho kahan hote ho…..?

Mousam e gul mein nasha hijer ka berh sa jata he
Mere sab hosh churate ho kahan hote ho……….?

Sard raaton mein tumhen kese bhula sakta hoon
Aag si dil mein lagate ho kahan hote ho………?

*IK AAJAZ SHAAM*
ikaajazshaam  (11 years ago)
Meri jaan-e-jaan mere hamsafar koi bat kar koi bat kar,
Tere lab hilain to kattey safar koi bat kar koi bat kar,

Koi bhoj hai to utaar de koi khauf hai to nikaal de,
Mera hath hai tere hath par koi bat kar koi bat kar,

Kabhi mujh ko azn-e-sawal de jo nahin to lafz uchaal de,
Tere lafz tujh se bhi moat’bar koi bat kar koi bat kar,

Nahin yaad kitne barass gaye teri guftagu ko taras gaye,
Meri khirhkiyan mere baam-o-dar koi bat kar koi bat kar,

Kabhi sath bhi they rawaan-dawaan bhale ab naseeb hai darmyan,
Bhale tu udhar bhale mein idhar koi bat kar koi bat kar,

Tujhe chup hai kesi lagi huyi abhi umar to hai pari huyi,
Abhi muskuraa abhi gham na kar koi bat kar koi bar kar,

Koi admi hai na wakeel hai koi baam hai ke faseel hai,
Faqat aik mein faqat aik dar koi bat kar koi bar kar..

*IK AAJAZ SHAAM*
ikaajazshaam  (11 years ago)
Aankh ki nadiya, ashk ki nayya,yad tmhari,
Chand ki rat,
Jharna,jugnu, tim tim taary, kitni pyari
Chand ki rat,
Sookhy patty,
sard hawaen,
sooni sarken, men or tum,
Shah or malka hath hn thaamy,
Or darbari
Chand ki rat,
Mera bachpan,
Door patangen, pakki neenden, kachy ghar,
Chupan chupai,
cheena jhapti, Raj dulari
Chand ki rat,
Tash k patte, yar hamare,
maili chadar,
Gehri chaal,
Saans ka huqqa, behki baten,
Ham pe taari
Chand ki rat..
ikaajazshaam  (11 years ago)
Kabhi Palkon Pe Aansoo Hain Kabhi Lab Per Shikayat Hai
Magar Aye Zindagi Phir Bhi MujheTujh Se Mohabbat HAI
Jo Aata Hai Woh Jataa Hai Yeh Duniya Aani Jaani Hai
Yahan Her Shaks Musafir Hai Safar Mein Zindagani Hai
Ujalon Ki Zaroorat Hai Andhera Meri Kismat Hai
Kabhi Palkon Pe Ansoo Hain Kabhi Lab Par Shikayat Hai
Magar Aye Zindagi Phir Bhi MujheTujh Se Mohabbat Hai

Zara Aye Zindagi Dam Le Tera Deedar Toh Kar Loo
Kabhi Dekha Nahin Jis Ko Uska Deedaar Toh Ker Loo
Abhi Se Chhod Kar Mat Jaa Abhi Teri Zaroorat Hai
Kabhi Palkoon Pay Ansoo Hain Kabhi Lab Par Shikayat Hai
Magar Aye Zindagi Phir Bhi MujheTujh Se Mohabbat Hai

Koi Anjaan Sa Chehraa Ubhar ThaHai Fizaaon Mein
Yeh Kis Ki Aahatein Jagee Meri Khamosh Rahon Mein
Abhi Aye Mout Naa Aanaa Mera Thikaana Jannat Hai
Kabhi Palkon Pe Ansoo Hain Kabhi Lab Par Shikayat Hai
Magar Aye Zindagi Phir Bhi MujheTujh Se Mohabbat Hai

*IK AAJAZ SHAAM*

Home | English
Old OwnSkin Mobile
Login
Feedback/Help
©2009 http://m.ownskin.com